Jumma Ki Khasoosiyat


2.3.8 by Zahra University (Online)
Sep 7, 2024 Old Versions

About Jumma Ki Khasoosiyat

Jumma Ki Khasoosiyat Book is for those speeches in Mosque to get help

This book is especially for those who are serving as imams in mosques so that they can get help regarding Jumu'ah and they can easily explain the characteristics of Jumu'ah.

In this book you can learn about the etiquette of Friday, the Sunnah of Friday and the virtues of Friday.

In this book you learn about what is the Benefits and get mercy from Allah reward when anyone come in time and last time.

What is the ruling on Friday according to Qur'an and Sunnah?

Friday is the king of all days and it has many virtues۔

Al Quran :

O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly, yawm al-Jumu’ah), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): That is best for you if ye but knew!

And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper.

— Qur’an, sura 62 (Al-Jumua), āyāt 9-10

JUMA, BAHTAREEN DIN(DAY) :

” Bahtareen din, jis par suraj nikal(rise) kar chamke, juma ka din hai, isi din hz adam (as) paida hue, isi din jannat me daakhil kiye gaye, isi din jannat se(zameen par) utaare gaye aur qayamat bhi jumah ke din qayam hogi”

( muslim, aljuma, baab youmul juma 854)

JUMA KI FARZIYAT :

Irshaad bari taala hai:

” aiy iman walon! Jab jumah ke din namaz(jumma) ke liye azaan di jaaye to allah ke zikr(khutba aur namaz) ki taraf daudo aur (us waqt) kaarobaar chhod do, agar tum samjho to yah tumhare haq me bahut bahtar hai”

(surah juma)

Hazrat Abu Jaad Jamri R.A se riwayat hai ki aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs susti ki wajah se 3 jumah chhod den to allah taala uske dil par muhar laga deta hai”

(abu dawood abwabul juma 1052, tirmizi 499,)

aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” log jumah chhodne se baaz aa jaayen warna allah taala unke dilon par muhar laga dega phir We ghaafil ho jaayenge”

(muslim al juma 865)

Hazrat Ibne Masud R.A se riwayat hai ki aap(sallallahu alaihi wasallam) ne un logon ke gharon ko jo( susti ki wajah se) jumah se peeche rah jaate hain, jala dene ka iraada kiya”

(muslim, al masjidon 652)

Malum huwa ki juma ka chhodna bahut bada gunah hai, is par kadi warning hai, isliye har musalman par juma padhna farz hai, isme bilkul bhi susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimber par chade , aur azaan ho jaaye to saare kaarobaar haraam ho jaate hain

JUMA KE MASAIL :

1- Aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jiska allah aur aakhirat par imaan hai us par juma farz hai, mareez, musaafir, na-baaligh ladka aur ghulaam juma ki farziyat se bahar hain (agar chaahen to padh len warna johar ki namaz ada karen)

(abu dawood abwabul juma 1067, imam nawawi ne sahih kaha hai)

2- aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs juma ke din khoob acchi tarah nahaaye aur paidal(masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga”

(tirmizi, al juma 495, abu dawood taharat 345, ibne habban 559, haakim 1/281-282)

Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu se riwayat hai ki, aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- jo shakhs juma ke din nahaaye aur jis qadar paaki haasil ho sake kare,( muchen katraaye, naakun kataaye, zere naaf baal kaate, aur bagalon ke baal door kare etc) phir tail(oil) ya apne ghar se khusbu lagaaye aur (juma ke liye) masjid ko jaaye,(wahan) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye( balki jahan jagah mile baith jaaye) phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichle juma se lekar is jumah tak ke gunah maaf kar diye jaate hain”

(bukhari al juma 883,910)

What's New in the Latest Version 2.3.8

Last updated on Aug 31, 2024
fix error
add voice to listen and learn

Additional APP Information

Latest Version

2.3.8

Uploaded by

هشومي كشخه

Requires Android

Android 4.2+

Available on

Report

Flag as inappropriate

Show More

Use APKPure App

Get Jumma Ki Khasoosiyat old version APK for Android

Download

Use APKPure App

Get Jumma Ki Khasoosiyat old version APK for Android

Download

Jumma Ki Khasoosiyat Alternative

Get more from Zahra University (Online)

Discover