Usar o APKPure APP
Obter o APK da versão antiga de Qurbani ke Masail مسائل قربانی para Android
Neste aplicativo, forneceremos informações completas sobre qurbani ke masail
Qurbani Ke Masail ou Ahkam
Qurbani ke masail hum sub ko maloom hone chahiye. dosto jesa ke ap sub jante hain kal ko Paquistão mei Eid ul Adha ka din hai ou taqriban har ghar me hi qurbani ki jati to hum sub ko qurbani ke masail ou ahkamat ke barey me mukammal ilm hona chahiye. Mai yahan é forum me qurbani ke fazail, qurbani ke ahkam ou masail ap sub ki khidmat me pesh kar raha hon. Parhiye ou qurbaani karte waqt hamesha yaad rakhiye.
QURBAANI KA BAYAAN
qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya
AHAADEES E KAREEMA
(1) ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin aur oh jaanwar qiyaamat ke din apne cante aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zmeen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo
(Abu daaud / tirmizi / ibn e maajah)
(2) hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki ohye agiatish e jahannam
(tibraani)
MASAAIL E FIQHIYYAH
QURBAANI KI TA'REEF
Makhsoos janwar ko makhsoos din men baniyyat e taqarrub zabah karna qurbani hai
(Bahar e shari'at)
QISMEN QURBAANI KI
qurbaani ki kayi qismen hain
(1) Gani aur faqeer dono par wajib hai is ki soorat ye hai keh qurbani ki manat maani ye kaha keh allah ke liye mujh par bakri ya gaaye ki qurbaani karna hai ya is bakri ya gaaye ki qurbani karna hai
(Bahar e shari'at)
(2) faqeer par wajib ho gani par wajib na ho is ki soorat ye hai keh faqeer ne qurbaani ke liye janwar khareeda us par us jaanwar ki qurbaani wajib hai aur agar gani khareedta to is khareedne se qurbaani us par wajib na hoti
(Bahar e shari'at)
(3) gani par wajib ho faqeer par wajib na ho is ki soorat ye hai keh qurbaani ka wujoob na khareedne se ho na manat maanne se balkeh khuda ne jo use zindah rakha hai us ke shukurya men aur hazrat ibraahim عليه السلام ki sunnat ki ihya homens jo Qurbaani wajib hai oh sirf gani par hai
(Bahar e shari'at)
MASLAH::: musafir pe Qurbaani wajib nahin agar musafir ne Qurbaani ki tataww'u (nafl) hai
(Bahar e shari'at)
MASLAH::: faqeer ne agar na manat maani ho na Qurbaani ki niyyat se Jaanwar khareeda ho to uska Qurbaani karna bhi tataww'u (nafl) hai
(Bahar e shari'at)
MASLAH::: bakri ka maalik tha aur uski Qurbaani ki niyyat kar li ya khareedne ke waqt Qurbaani ki niyyat na thi ba'd men niyyat kar li to is niyyat se Qurbaani wajib nahin hogi
(Bahar e shari'at)
QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT
(1) ISLÃO
Yani gair muçulmano pe Qurbaani wajjb nahin
(2) IQAAMAT
Yani Muqeem Hona Musaafir Par Wajib Nahin
(3) TAWANGARI
yani maalik nisaab hona yahan maaldaari se murad wahi hai jis se sadqa e fitr wajib hota hai oh murad nahin jis se zakat wajib hoti hai
(Nisab ki tafseel nisab ke bayan men mulahaza farmayen)
(4) HURRIYYAT
yani aazad hona jo aazad na ho us pe Qurbaani wajib nahin keh gulam ke paas maal hi nahin lihaza ibadat e maaliya us pe wajib nahin
(Bahar e shari'at)
FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
TASHEEH
O aplicativo Qurbani Prayer tem procedimento completo de Qurbani do Alcorão e hadith
- Qurbani k janwar ki kharaidari
- Qurbani ky masail
- Takbeer ka tareeqa
- Tudo sobre qurbani
- Qurbani ki zarorat
Quem deve oferecer Qurbani?
- Todo muçulmano deve realizar o Qurbani. Os únicos casos especiais são os seguintes:
- Aqueles que não possuem 52,5 tolas de prata, ou o equivalente à riqueza
- Aqueles com não boa condição mental.
- Aqueles que estão viajando e estão a mais do que a distância Shar'i de casa (aproximadamente 40-45 quilômetros)
- Que ainda não atingiram e passaram da puberdade
Last updated on Jan 13, 2023
Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!
Enviado por
LãO HạC
Requer Android
Android 4.4+
Categoria
Relatório
Qurbani ke Masail مسائل قربانی
1.0 by Pak Appz
Jan 13, 2023